Sunday, February 28, 2021

1 Day surah yaseen wazifa | Surah yaseen wazifa for friday | 1 day wazifa for hajat

 

Assalam O Alaikum!

yeh 1 day surah yaseen wazifa hai, Yeh surah yaseen ka wazifa for friday hai or sirf jumma waly din krna hai. Bohot asaan or bohot powerful amal hai. yeh wazifa tamam hajat ke lea hai or surah yaseen ka wazifa hajat ke lea or sirf 1 din ka wazifa hai.

Amal ka tareeka!



Is amla ka tareeka bohot asaan hai surah yaseen main 7 mubeen hain. or yeh surah yaseen ka 7 mubeen wala wazifa hai. Aap ny krna yeh hai k Awwal aakhir 11 martaba darood shareef parhna hai or iske baad surah yaseen shuru krni hai.Surah yaseen main 7 mubeen hain. Surah yaseen ki pehli mubeen pr 3 baar surah Ikhlaas prni hai iske baad agy sy prna hia wapis shuru sy nhe prhna. 2sri mubeeen pr Surah kosar 3 baar prni hai, teesri mubeen pr Surah alam nashrah 3 baar prni hai, 4 no mubeen pr pohonch kr surah fatiha 4 martba prni hai, 5 no mubeen pr pohonch kr 3 mrtba ayat ul kursi prni hai, 6 no mubeen pr yeh dua 3 baar prni hai

Is dua ke baad surah yaseen ke 7 number mubeen pr 3 baar darood shareef parna hai.
Amal ki muddat!

Is amal ko sirf 3 jumma krna hai or inshallah 3 jumma is amal ko krny ke baad apki hr hajat puri hogi.yeh wazifa har hajat ke lea hai. kamyabi ka wazifa hai dunia ke hr maidan mian success or kamyabi ke le yeh wazifa kia ja skta hai.

bohot powerful wazifa hai main apko 1 waqia sunata hun

Real story!

1 orat  jo bohot ghareeb thi un ke ghar main faqy thy kisi qism ke asbab nhe thy bohot zyada ghurbat thi unky ghr main. Us orat ko kisi ny Surah yaseen ka wazifa btaya, Wo orat yeh wazifa nhe krna chahti thi magar jb us ko btaya gya k yeh wazifa for hajat hai bohot acha wazifa hai hajat k leato us orat ny is wazifa ko apny shohar ke lea shuru kia.us orat ny is wazifa ko sirf 1 jumma hi kia tha ke iske shohar ko bohot achi job mil gae.

Ap sy bhe guzarish hai ke is amal ko 3 jummy zarro karain

puri video daikny ke lea youtube pr hamary link ko follow karain.



 

1 comment:

  1. Assalam o alaikum!
    agr kisi ka bhe koe sawal ho to ap puch skty hain inshallah apko tasalli bakhsh jawab dia jae ga

    ReplyDelete